Wednesday, July 29, 2009

मैंने तुम्हें (Maine Tumhe)



मैंने तुम्हें महसूस किया है...
सागर की गहराई में;
आसमान की ऊँचाई में;
तरुणों की तरुनाई में;
भोर की अरुणाई में |
बसंत की अमराई में,
डाल-डाल गदराई में;
ठंडी हवा पुरवाई में,
बदली कजराई में |
आँखें थकी अलसाई में,
कल रात मेरी अँगनाई में;
सुबह सुबह अंगराई में,
मेरे हिय की ठांई में |
मैंने तुम्हें महसूस किया है |

**************************
Maine tumhe mahsoos kiya hai…

Sagar ki gehrai mein,
Aasmaan ki unchai mein;
Taruno ki tarunai mein,
Bhor ki arunai mein.

Basant ki amrai mein,
Daal-daal gadrai mein;
Thandi hawa purwai mein,
Badli kajrai mein.

Ankhein thaki alsai mein,
Kal raat meri angnai mein;
Subah-subah angrai mein,
Mere hiye ki thain mein.

1 comment:

  1. Rooh ko Aaah ka haq hain,
    nazar ko ek nigah ka haq hain,
    ek dil bhi hai hamare seene main,
    jise ek gunah ka haq hain.

    ReplyDelete

Please leave your Mail id. So that I could reach you.